...

2 views

🍁🪄
Woh aaj bhi yahi keh rhi thi,
Tum yahan kya kar rahe ho?
Woh aaj bhi yeh sawal kar Rahi thi mujhse,
Tum yahan kyun aaye ho?
Aaj bhi woh din mujhe yaad dilaya karti hai uski aankhein,
Woh sapne yaad ajaya karte hai un aankhon mein dekhte hi.
Nazrein itna kuch bayan kar deti hai,
Jo jubaan nahi kar pata.

Tum toh bhul gaye the na mujhe? Ab kya kar rahe ho tum yahan?
Usee is tarah kehta dekh dil mein chubhan hui jarur thi,
Par woh muskurahat uski awaaz sunnkar ja nahi Rahi thi.

Pagal ho kya? Chale jao meri zindagi se. Ab tumhara chehra dekhna bhi gawarah nahi.
Ankhein apna dard bayan kar rahi toh aur woh muskurahat apni khushi,
Ek ajeeb si kashmakash thi,
Na yeh samajh araha tha ki yeh meri abaadi hai ya phir barbaadi.

Muhabbat ne mujhe barbaadi di hai sirf ab ispr bharosa nahi mujhe, can you just leave me alone?
Himmat kar kuch bolne ki koshish Kari Maine phirse bolne ki.

Muhabbat ne abadi dilayi hai,
Judayi ne barbaadi.
Janab aap muhabbat ke mayne jante,
Toh yeh na kehte kabhi.
Asliyat kadwi hoti jarur hai,
Par jhoot ki khanjar usse bhi kayi zyada kadwi hoti hai.

Khamoshi dekhi Maine phirse uski aaj theek us din ki tarah jis din hum dur hue the, unhe yeh malum nahi tha is rishte ki qatal khamoshi ne ki thi khamoshi se.


© Shines