...

5 views

Missing childhood memories
Na jane kaise gujar gaya hamara bachpan

Kitne narkhe dikhate the hum sabko

Chhoti chhoti chizo se khush ho jaate the

Koi daate to rote hue mummy se uski sikayat lagte the

Paper ka nau bana ke pani me terane ke liye chhodte the

Garmiyo me bahar dhup me khelte rahte the

Barish ke mausam me ghar ke bahar Ja kar gande pani me gir jaate the

Ek chocolate ke liye sare Ghar Wale ko pareshan kiya karte

Papa apne kandhe par hume baith kar ghumaya karte

mummy ke god me lori sun kar so jaate the

Dada ko ghoda bana kar sher karane ke liye bol dete

Dadi se mummy ka sikayat lagane me maza aata

Apne dosto ke sath padosi ko pareshan karte rahte

School jaane ke naam par rone ki acting karte

Bahut hi payara din tha jise hum yaad kar ke muskuraya karte hai.......

#bachpan #childhood