...

6 views

Akhir chahiye kya aurat ko?????
Log puchte hain "akhir chahiye kya aurat ko?"
me batati hun ki kya chahiye aurat ko..!!!

Vo tumhara pyaar chahti hai,
tumhari zindagi me apni zara si ehmiyat chahti hai,
har parishtiti me tumhara saath nibhana chahti hai,
tumhare sukh-dukh ki saathi banna chahti hai,
apne bure vqt me tumhara saath chahti hai,
tumhare khafa hone par tumhe pyaar se manana chahti hai,
tumhare saath bitaye har lamhe ko khaas banana chahti hai,
tumhari pareshaniyon ko apni pareshaniyan samajh kar unka samadhaan dhundna chahti hai,
tumhare saath kuch pyaar bhare pal bitana chahti hai,
aurat bus jeevan bhar ke liye tumhara saath nibhana chahti hai,
vo sirf thoda sa pyaar or izzat chahti hai...!!!!

© lines.by.shivii