...

3 views

Gham Ka Sahara
Aye mere gham ke sahare, yeh dil teri nazar utaare, yeh ruuh kaise tera karz utaare, kabhi aaja mil inn raaston pe, inhi raaston ki saanson ke hai sahare
Rawani nahi hai saanson mai, dooba hun jaise paani mai, mujhe shoor ki zaroorat nahi, gehrayion mai sukoon hai, kuch pal ka hi magar hai toh sahi
Aate hain log matlab se, matlab ki baatien karte, matlabi hoke, logon se yeh meri tanhaayi achi, khamooshi behad khubsurat gaati
Ab yeh tasali hai mujhe satati, iss zindagi ki yaad hai raat bhar aati, ek tamanna hai jis se ghira hua hun, ab kya inaam dun iss tanhayi ko ki gham ka sahara bani hui hai, iss tanhayi ko mera saath hai, yehi inaam kaafi hai
© IllusionistForever