...

2 views

Hum Log Kabhi
Log Yaha Kabhi Kabhi Aise Badal Jate Hai
Samajh Mein Hi Nahi Aata
Kya Kehna Chahte Hai
Samajh Mein Nahi Aata Ki
Wo Humara Saath Dena Chahte Hai
Ya Humare Khilaaf Koi Jung Chedna Chahte Hai
Kabhi Kabhi Badi Badi Uplabdhiyon Ko Pane Ke Chakkar Mein Hum Pagal Ho Jate Hai
Par Anth Mein Keval Choti Choti Khushiyon Ke Mohtaj Ban Jate Hai
Hum Log Kabhi
Sach Aur Jhooth Ko Parakh Nahi Pate Hai
Kaun Saahi Hai
Aur Kaun Galat Hai
Ye Bhi Parakh Nahi Pate Hai
Bhul Jate Hai
Hum Log Kabhi
Ki Zindagi Hai Ye
Utar Chadhav To Aayenge Hi Yaha
Agar Sab Kuch Yaha Ek Jaisa Rahe
To Ye Zindagi
"Zindagi" Na Kehlati




© Yash Shah