...

5 views

Gazal
Haalat-e-Zaar Se Thak Gaya Hun Mujh Pe O.r Aazmaa.ish Na Kar
Kahii.n Gaflat Ka Shikaar Na Ho Jaun Aakhir T.o Huun Mai Bashar

Meri Aql-o-Fahm Mai Vo Quvvat Nahi Jaan Sakhun Tu Kaisa Hai
Magar Itna ilm Hai Mujhe illahi Tu Hai 'Kariim 'Azmat Ka Paikar

Tann Ki Aankhein Chaahti Hain Nek Dekhen Ye Saari Duniya Ko
Man-Ki-Aankhon Ka Shauq Hai Pehle Sudhare Apne Dil Ka Ghar

Tulu-e-Aftaab Takkabur Karta Shayad Gar Iska Guruub Na Hota
Khizaa.n Zaruuri Hai Zindagi Mai Issi Se Aata Hai Naya Shajar

Bahut Falsafe,Ka.ii Koshishein,Dilasa Phir Kyun Na Paye Ruuposh
Jo Bahaav Ke Ham-raah Nahi Chalega Sailaab Se Hoga Garq-e-Sar

© AadilKashmiri