...

13 views

Ek Zamana
Thi zindagi kabhi aisi
koi tha jo mujhe pyaar bhari jhuki nazar se chup chup kar dekhta tha.

Tha kabhi waqt aisa ke koi mujhe har pal yaad kiya karta tha.

Tha kabhi mousam aisa ke yaad sata kar meri karti thi betaab kisi ku.

Tha kabhi sama aisa ke chahhaton ki baarish hua karti thi.
Chalti thi hawa jab toh mehsoos karta tha koi mehek mohabbat ki meri.

Tha ek zamana aisa b kabhi choti se choti baat sunne ku b waqt hua karta tha kisi k pass.

Chalta tha jaadu aisa kisi pe apna aisa ke phaans jaata tha jaal me mere jaise k parinda.
Na tha darr kisi baat ka,
Na kabhi thi koi sonch judaayi ki.

Chale gaye wo saare mousam pyaar ke, Pata hi na chala kaise ek arsaa beet gaya.

Hote hote hogaya dur koi mujhse.
Na thi umeed kabhi aisi judaayi ki.

Hui thi kya galti mujhse,
hua kya shikwaa,

Khayi thi wo khasmein,
Khaye the wo waade sath nibhane k umar bhar.
Bhool gaya koi wo saare pal.
Jo hum ne sath milkar nibhaye the.

Tha kya kasoor mera jo koi mujhe aise tanha chood diya.
Chahya hai andheron ka saaya meri zindagi mein,

Hai zarurat teri aaj bhi mujhko,
karde fir se roshan meri zindagi.

Hai intezaar tera jaise andheri raat ku chaandni ki tarah.
Hai umeed usse jo hai maalik aasmaon ka aur zameen.

Mangti hun dua tujhse aaey mere Rab.
Karde mannat poori bana kar usko mera hamsafar.
© All Rights Reserved