...

8 views

अमीर गरीब में फर्क !!
" वो मेहतर का लड़का है, उसके साथ मत घूमो "

" अरे वो चौकीदार का लड़का है, क्यों गप्पे मारता उसके साथ "

" अरे दीदी आपको पता है कल वो बगल वाले शर्मा जी का लड़का अपने नौकर के गले में हाथ डाल के घूम रहा था "

tang aa gaya hun mein aisi thinking se,
kya galti hai uss ladke ki ya ladki ??
yahi ki ek gareeb parivar mein paida huye ??

Hasi aati hai ye sochke ki gareeb wo log hai
jinki soch chhoti hai,

sirf kapdo ka hi toh farq hai,
inn baccho ko pehna do naye kapde
maa kasam tumhare bachho se zyada khubsurat lagenge,
jab inke chehre pe real wali badi si smile ayegi,
jo bilkul nakhre nhi dikhayenge..

"mummi ye nhi pehnna,
mummi mere cupboard mein saare kapde fade ho gaye"
aiso baccho se to 1000 times better hai yeh..

yaad hai mujhe wo din
jab mere papa ek driver ke ladke ko ghr pr laye the,
aur mujhe do thappd laga ke bole the,
iski padhai ki zimmedari teri hai,
khud bhi padh aur isse bhi padha,
aur waqt mile to computer chalana bhi sikha,

kasam se samjh nhi aa rha tha mujhe
ki ye proud wale aansu hai ya thappd wale.. 🤣😂

kya din the wo jab mein aur meri mitra mandli mein
ek chaukidaar ka ladka bhi tha,
actually uss samay itna dimaag nhi hota tha hum logo mein,
ye to ab samjh aa rha ki that kid was guard's soul..

hum to apni hi masti mein dhun rehte the,
logo ke soch vicharo se door,
jiske saath mann kiya colony mein jaake khel liye,
jisko mnn kiya usko keemti khilone de aaye,
jisko mann kiya usko ghr mein khana khilane ke liye le aaye 😄
aur mein to khud unn bade dil ke logo ke ghar baithke
swadisht rukhi sukhi khaata tha 😌😌

aaj jab yaad krta hu to aansu aa jate,
nhi pata aaj wo log kaha honge aur kis haal mein honge,
lekin jaha bhi honge
jaise bhi honge bss khushiyan baat rhe honge..

Mere bachpan ki bahut si yadein hai
iss post se jo judi hai,
sab kuch likh nhi paunga kyunki
wo batein sirf mehsus ki jaa skti hai..

chhod do yaar ye ameer gareeb jaat paat,
insaan ko parakhna seekho,
unki zindagi sawaro,
zaroorat mando ki madad karo,
iss duniya mein harr insaan kuch naa kuch sikha ke jaata hai,
aur apne inn dosto se maine harr paristithi mein
doosro ko hasana sikha hai...
chahe khud kitne kasht mein ho aapko hamesha hasayenge.

akele rote dekha hai maine ek dost ko
jab uski sacchai hum logo ko pta chali thi,

hua ye ki hum sab log lagbhg 11-12 saal ke honge..
thik se yaad nhi lekin haan 6-7th class mein the..
ek ladka hamari colony mein rehne aaya,
hamesha ek muskan ke saath ghar ke bahr nikalta,
hum logo ke saath khelta koodta gappe maarta,
acchi khaasi athelete body thi uski to khelne mein bhi kaafi accha tha,

kaafi waqt tk sab normal hi chala lekin fir ek din,
mere ek dost ne usse kapde dhote dekha,
usko shaq hua and then wo kuch din lagatar uski activities pe nazar rkha hua tha,
ek din kisi ki car dhota hua dikhaaa,
haan yaad aaya... garmiyon ki chhuttiya chal rhi thi
to school band the aur hum log subah bhi khelna shuru kiye the,
wo bechara seenu.. seenu naam tha uska...
wo apni sacchai chah kr bhi nhi chhupa ska..
baccha hi to tha wo... apne jazbaat nhi chhupa ska..

aur ghr ke andar chala gya akela rone,
haan wahi ghar jaha wo as a servant kaam krta tha ..

hamein gussa bhi aaya aur rona bhi aaya
aur wo 3-4 din khelne bhi nhi aaya..

3-4 din sooni rahi hamari colony ki galiyann,
fir ek din wo khud hi aaya,
sab kuch bataya aur bola ki maine socha ki tum nhi kheloge
ab mere saath,
humne kuch nhi bola
bricks ke stump banaye usko bat thamaya aur khelna shuru,

mann to karr rha tha ki uss ghar ke logo pe child labour ka
case thok de,
lekin kya hi karr skte the hum chhote chhote bacche,
aur ooper se wo ghar bhi ek inspector ka tha 🤣🤣
kya hi case krte....

to final ye hai ki uske baad hum log khushi khushi colony mein
khelte rhe jab tk humne JEE mains aur advance ka naam nhi suna 😖😖😖😖😡😡😡

tb se kaun dost kaun colony kaun sa khel sab bhul gye,
aur ussi waqt ek tragedy bhi hui thi hamare ghr mein 😶

to mera to bahr aane ka kabhi mnn hi nhi hua..
aur jis khuda ki maine iss post mein baat ki hai naa
wo mere mata pita hi hai.

Asha krta hu aap sab swasth honge 😇
to yaha mein aap sabhi se vida leta hu
ye post kuch bhi planned nhi thi
raaat mein thoughts aate gaye
aur hum keyboard ko pelte gaye.
Ab mulakaat hogi aapse comment box mein,
tab tk ke liye savdhan rahe aur satark rahe.
Jai hind

#dopamaniac

© DopaManiac