...

5 views

ek chai
ek din mujhe aya gussa to maine kr diya apne bhai ka kaam krne se mane maine usse nhi di chai bnaker. ek din mujhe pada kaam maine usse kha usne mujhe kr diya mana ye kh k ki maine use us din nhi di the chai .
baate chli yuhin ek din maine ek apne bhai se pucha ki aap dono suppose aapki bhen or aap dono ghar pr h to aap apni bhen se khen ge chai bnane k liya to usne bda naturally kha ha
phir maine pucha aap dono bhai ghar pr h kya apne bhai ko khehge chai bana k liye to usene kha nahi m khud bna luga
kya kamal ki society h jahan ladkiyon k liye ghar ka kaam. jaise wo apni lakeero m likhwa kr laye h ki use to mana krne ka bhi hak nhi.
ye hogi ek choti si baat par hakeekat to dikh jati h in choti choti cheezo se .jahan pr hum badi naturally apni ma se dadi se bhen se beti se badi naturally kh dete h ghar ka koi bhi kaam krne ko koi apni farmahis rakdete h bina uski farmahis ko jane . aap ghar aye kya ye farmahis apne bhai se bete se ek pati se nhi ki ja sakti ki kabhi wo bhi ek din hafte m hi sahi wo bhi kabhi chai pila de ghar m help kr de . mana sab busy h wo bhi bhar kaam krke aya h pr ek dil to sabke pas h admi ho ya aurat, jab wo kaam bhar se krke bhi ghar ka kaam sambhal rhi h, ya ghar ka hi kr rhi h ,tab bhi wo ghar to sabka h kya uske dil m nhi ata ki kabhi wo bhi kuch help kr de ek din wo bna kr dede chai khana to bhut badi baat h.
Baat to sirf choti se thi sirf ek chai ki thi pr kabhi kabhi ye choti se baatein bhi bhot chubh jatein h.
© All Rights Reserved