...

4 views

Khwaabon ki duniya
Hum hamesha khwaab toh dekh lete hai, lekin uss khwaab ko pura karne ki himmat nahi rakhtey. Aur fir rotey rehte hai ki mere saath he aisa kyu hota hai.
Par ye baat sahi nahi hai, kismat ko kosna.
Khwaab dekho, lekin agar pura karna chahtey ho toh mehnat bhi karo.
Mehnat aisi karo, ki khud par fakr mehsoos ho, ki maine koshish ki bina piche hatey.

Koshish ek bahot he zabardast auzaar hai. Agar iska sahi dhang se upyog karogey, toh koi tumhe apne khwaab ko pura karne se rok nahi sakta.

Aise he jab khwaab sach honge, tab jaake ye khwaabon ki duniya aapki banayi hui duniya bann jayegi. Aur fir toh jeene ka maza he kuch alag rahega!!

Jeeyo toh haq se, darr ke nahi,
khwaab dekho zara, kuch toh sahi,
pehchhan lo apne aap ko abhi ke abhi,
bann jayegi koi baat, kabhi na kabhi!!!

© PriyaP