...

2 views

darkness se bhari ye kaali duniya...
yeh dark word sunne me jitna dark hai naa,
really ye usse jayeda dark hai,
jiska aanuman AP laga bhi nahi sakte,
Jo yeh dark hamare pass me rahne wale hi log hi,
hamari life me darkness bhar dete hai

Aaj kal to achhi life jeena bhi ek saja hai ,
jaha logo ko bardash nhi hota apki happyness life aur success.
aur vo chahte h ki , apki duniya dark se bhari rhe,
ye wahi log h jo apke sath uthate - baithte hai,


god ne kya duniya banai thi , aur hamane kya duniya bana di,
aur hum bolte hai ki god ke bahut badhe bhakt hai,
to unki duniya ko barbaad kyun kar rahe,
sach me kya aap god ko manne layak ho ,
jab unki raste nhi hi nhi chalte,


Jo log apne gods ki etni Puja , payer karate ho,
ye sab kisko dikhaate ho,
ek baat yaad rakhna jo payer , Puja logo ko dikhane ke karate ho ,
uski God kabhi nhi sunata,
na vo kabhi God tak pahuch pate hai ,


hum Indian inte bewakuf hai ki kuch log ke wajah se hum aapaas me fight karte hai ,
Jo chate h ki ye duniya darkness se bhari ho,
hum unki hi baat maan kar aapaas me fight karte hai,
ye wahi log h jo es duniya k darbaar karna chahte hai,
aur hum aankh band kar unki sunte hai,
usko kahte h , dekhta hua andha ensaan,

ye duniya kitna aajeeb h na apne log hi apko bardash nhi kar paate ,
aur etna kya nafrat ki ,
dusro ki life me nagativity bhar ke,
khud ki achhi life ki khawahish karna,


ek duniya jo roshani se bhaari beautiful duniya banai ,
jaha santi ki duniya ho,
par kuch logo ki wajah se ye darkness se bhari duniya baanti ja rhi,
aur hum log bewakuf ko tarah es dark duniya ke ander me khichate chale ja rhe,
jaha sirf aur sirf dark hai ,
Roshani to bs waha h jaha god ki parchhai hai,


sach thora kadwa hai par,
huamri ye duniya drakness se bharti ja rhi aur hum bhi,
esliye ye drakness se bhari duniya mujhe manjoor nhi .....