...

47 views

1 Aas
ek maa ke liye uski aulad uska jigar ka tukda hota hai. aur phir jab woh usse door ho jata toh uske ane ki raah dekhte huyeh ro ro kar thak jati hai. woh bas yeh chathi hai ki woh bas sari dunyiadari chor kar aa jaye eaisa hi kuch un kayi maao ka haal hai jo apne aulad ki ane ka intzaar dekh rahi hai. aaj meri maa ne phone par rokar kaha ki beta tum aa jao mai tumare liye logo ke Jhuthe bartan dho kar tumari har khwaishe poori karungi tu kuch paise ke liye Is bure waqt se mat lad agr tujhe kuch ho gya gya toh mera dam tere marne ki khabar se hi nikal jayega lekin kya mai itna badnaseeb beta hoon jo Is bure waqt mai apno ke liye kuch bhi nahi kar pa raha aur khud ka kuch pta hi nahi kya karu kuch samj nahi aa raha meri maa ki I Aas kaise tod du. Is bhayankr mahamari ne sab kuch barbaad kar diya hai logo ka shukh chain cheen rakha hai. kisi ka beta toh kisi ka bhai ,behan maa, baap aur kayi rishte kha gya yeh kaal. sabko kahi na kahi kamzor bna diya hai koi chah kar bhi usko apno ki chita ko aag nahi de pa raha toh koi apno ko na dafan kar pa raha. In bure halaat mai ache se ache Insaan ko kafan bhi naseeb nahi ho raha. ek eaisa mout ka tandav jaha har waqt har roj na jane kitni chitaye jal rahi hai aur kuch ko intzaar ki kab unko agni milegi. aur door 2 tak koi Aas nahi ki kab tak Is bure waqt se ladte rahenge. lekin hume himmat nahi haarni waqt chahe kitna bhi bura kyu na ho lekin ache waqt ki Aas use badal hi deti hai. lekin hamare desh ke kayi eaise log hai jo Is bure waqt ke haalat par kabu pane ki koshish kar rahe hai. bas yeh hume bhi samjna hoga ki muskil kuch bhi nahi bas hume himmat dikhaani hogi. tabhi hum logo ki help kar payenge Is duniya mai sab yeh Aas laga kar jee rahe hai ki sayed sab teekh ho jaye toh zindagi jo bojh lag rahi woh phir I god ka uphaar lage.