Trust Bonds (Last part)
Aj Shreya aur Aaditya ka rishta court ke katghare tak pahunch chuka tha yeh koi nahi Jan Paya ki Aaditya ne sach me use dhoka diya ya ek misunderstanding thi par , Aaditya ka kuch nahi bolna apna muh na kholna Shreya ko saare jawab de gaya. Kyunki jis Aaditya se usne pyaar kiya tha wo Aaditya agar galat nahi hota tha wo chillata tha par aj usi Aadi ne apna muh bandh kar liya tha wahi kafi tha use yeh yakin dilana ke liye ke jis Aaditya se usne pyaar kiya tha usne use dhoka diya tha. Aaditya ne na Shreya ko apne beguinahi sabit karne ke liye kuch kaha aur nahi use kuch batane ki koshish ki. Usne court mein aakar chup chap se divorce paper sign karke use azaad kar diya usne koi kosish bhi nahi ki.
Bas ek request ki use apne beti se milne ki izzazat di jaye mahine mein 1 baar bas yeh kafi tha uske liye apni Shreya aur Nidhi ko mann bharke niharne ke liye.Usse wo milte jarur the par Shreya ne kabhi usse Milne ki kosish nahi ki bas Nidhi ko Aaditya ke office mein Milne ke liye bhej deti ya unke purane ghar me Jo unka swarg tha kabhi par ab buri yaad ban gaya ha .
18 saal baad Nidhi ab badhi ho chuki ha rishte ab badal gaya ha Aaditya ne apna buisness dusre sheher me shift kar diya par Haan usne Nidhi se kabhi apna contact nahi toda apne pita ki responsibility puri tarah nibhayi . Shreya bhi ab badal chuki ha ab usne apne studio ko develop karke apne ap ko ek aise mukam tak pahunchaya hai jaha use koi rok na sake .
Nidhi 22 saal ki ho chuki ha aur lawyer banne ki tayari mein ha roj rishte tutne ke case ke baare mein padhti ha par use pata unke piche ka pain kya hota kyunki usne khud ke ghar ko tuthe hue dekha ha...
Nidhi ne bahut koshish ki wo apne pariwar ko wapis ek kare par ek baar jo rishte tooth jate ha toh wo kabhi bhi doobara shayad ek nahi ho sakta .
Shreya aur Aaditya bhale ek nahi ho paye doobara par unki kahani khatam kabhi nahi hui thi kyunki kuch kahaniya complete kabhi nahi hoti ha wo adhuri hi reh jati ha....
#brokenmarriage #brokenfamily #misunderstanding #destiny
© Priavenna